Monday, May 18, 2015

Makhlooqaat - Shaqs-e-Waahid - Ma'aloomaat-e-Ilaahi

Makhlooqaat mein pehle Uqool woh Arwaah hote hai. Phir us ke baad mein Mujarridaat hoti hai. Phir us ke baad mein Maaddiyaat hote hai. Phir us ke baad mein Basaait/Anaasir hote hai. Phir unke baad Mawaaleed hote hai


Mawaaleed murakkibaat hote hai yaani Aag, Paani, Mitti, Hawa se ban ne waali cheezein. In mein Paidaishi nizaam paaya jaata hai. In mein baaz poore chaar anaasir se mil ke bhi bante hai. Baaz juzwi murakkibaat hote hai jo do anaasir se mil kar bante hai (jaise aag aur mitti, paani aur hawa, aag aur hawa, mitti aur paani etc).


Anaasir-e-arba' yaani chaar cheezon se murakkab hoke Jamaadaat, Nabaataat, Haiwaanaat hote hai. Jamaadaat pathharon ke line ki cheezon ku kehte hai. Nabaataat mein darakhton ka nizaam poora aajaata hai aur Haiwaanaat mein saare jaandaar cheezein. Haiwaanaat mein mutaharrik bil irada ke aitebaar se dekha jaaye toh us mein Insaan bhi aata hai. Albatta is mein baaz aisi khaas cheezein hai jo pichli cheezon mein nahi paayi jaati jaise nutq, ta'aqqul, fikr etc. Baaz log is liye Insaan ku Haiwaanaat mein shumaar nahi karte balke is ku mustaqil ek alag qism shumaar karte hai.


Mawaaleed se upar Anaasir hote hai jaise aag ka khazana, matti ka khazana, paani ka khazana, hawa ka khazana. Yeh chaaron ke chaaron maaddi hai. Yeh basaait kehlate hai. Baseet 'ek'  (single or abstract) ku kehte hai.


Anaasir se upar Mujarridaat hote hai. Mujarridaat ke andar maadda nahi hota. مجرد عن المادہ (maadde se jo khaali hai). Mujarridaat ki be hisaab qismein hai. Allah hi ku maaloom hai ke unhone kitni qismein banayi hai. Moti moti cheezein jo baar baar boli, suni aur samjhi jaati hai woh hai Roohein, Malaaik, Aqlein (Uqool hai, Arwaah hai aur Malaaik hai). Jinnaat ku albatta Mujarridaat mein shaamil nahi karte kyun ke woh maaddi cheez hai lekin bas zara lateef hai jaise hawa. Aag ki lapak se Jinnaat ku paida kiya gaya (Mimmaarijim minnaar). Is liye un mein thoda sa dhuwaan hota hai. Us lapak mein halki si dukhaan ki aamezish hoti hai. Jinnaat ki phir bahut si qismein hai. Kayi kayi cheezon se bante hai woh.


Yeh poori ki poori "ek" makhlooq hai. Hadhrat Ismail Shaheed R. A. farmate hai ke poora milake ke ek jism hai yeh. Is ku soofiyah ki istilaah mein 'Shaqs-e-Waahid' kehte hai. Unhone farmaya ke yeh poori kaayenaat milaake ek shaqs/aadmi hai.


Aur yeh poori ki poori makhlooq Ma'aloom-e-Ilaahi hai. Makhlooq "makhlooq" hone se pehle ma'aloom hai. Ma'aloom matlab Allah paak ke Ilm mein hai. Aur Allah ka Ilm sifat hai. Aur sifat Zaat se kabhi alag nahi hoti. Allah paak sifat se kabhi khaali nahi the. Allah par na'uzubillah koi waqt jahaalat ka nahi guzra. Woh apne Ilm ke saath, apni ma'aloomaat ke saath A'leem hai. Jab se Allah ki Zaat hai tab se Allah ki sifaat hai aur us mein se ek Ilm ki sifat hai. Aur us Ilm ki sifat ke andar ma'aloomaat hai. Aur yeh ma'aloomaat Allah ke paas har ek ki tafseeli alag alag imtiyaaz ke saath hai. Ab bhi aisi hai makhlooqaat jaise thi pehle (الان کما کاان). Unke ilm mein se koi cheez bahar nahi gayi.


Allah ne apne ma'aloomaat to makhlooqaat banaya. Makhlooq ke paas makhlooq ka kuch nahi, jo kuch hai woh Allah ke ilm ke andar ki cheez hai. Chahe woh aasmaan ho chahe zameen, insaan ho yaan jaanwar ho sab Allah ke ilm mein the aur abhi bhi Allah ke ilm mein hai. Ilm nikal kar bahar nahi aata jaise agar carpenter kursi ke design se kursi banaya toh woh lakdi leke ek sancha toh banata hai lekin woh kursi toh uske zehan mein waise hi hai, woh uske zehan se bahar nahi nikal jaati. Isliye Sufiya kehte hain ke Al'aan kama kaan matlab ab bhi aisi hi hai makhloqaat jaise thi pehle.


Hum ko yeh gaur karna hai ke Allah ne in saari makhlooqaat ko khalq (paida) farmaya jo Allah ki ma'aloomaat hai. Khalq karne ka ek khaas matlab hai. Paida karna banane ku nahi bolte. Kyunke banane ke liye paida karna laazim nahi hota jaise koi kursi banaya toh usku kursi paide kiye nahi bolte kursi banaye bolte. Woh isliye nahi bolte kyun ke us ka raw material baazaar mein hai. Us material ku kaat chaat ke woh jod raha hai apne nakhshe ke muafiq isliye usku paidaish nahi bolte. Lekin yahan toh koi bhi nahi tha "Kaanallahu wa lam yakumma'ahu shai'" yaane Allah the kuch bhi nahi tha - Na aasmaan, na zameen, na chand, na suraj, na taare, na kehkashayein, na dariya, pahad, badal, hawa, insaan, nabataat, jamadaat, haiwanaat, basait, anasir, mujarradaat kuch bhi nahi tha. Bagair raw material ke banane ku yaane nai tha so usku hai karna use "Badee'" kehte hain. Badee'us samaawaati wal arz. Aur Fatir kehte hai. Faatirus samaawaati wal arz. Mubde' aur Fatir ke alfaaz istemaal hote hai iske liye phir unku khalq se bhi ta'abeer karte hain.


Khalq ek mafhoom hai khaas. Uski khususiyat yeh hoti hai ke usku independent pana kabhi haasil nahi hota. Makhlooq kabhi independent nahi ho sakti. Woh dependent rehti hamesha. Makhlooqiyat mein dependency hai.  Us dependency ki wajah se Khaliq ko apni makhlooq ki makhlooqiyat baaqi raqne ke liye Qayyum hona padta hai. Isliye woh hayyi hai aur qayyum hai - "Allahu la ilaha illa huwal hayyul qayyum". Makhlooq apni khaliq se saath qaayim hai aur uske bagair reh hi nahi sakti.  Poori makhlooq nahi balke makhlooq mein ki har cheez masalan insaan ke andar ek makhlooq thode hi hai balke karod ha karod makhlooqat hai hamare andar. Hamare andar hamari ankh, hamare kaan, hamari, naak, seena, haath pair, zahiri a'aza, baatini a'aza jaise khaal hai khon hai, gosht hai, post hai, haddi hai, patthe hai, dil, kaleja, gurda, pitta is tarah se ek poori kaayenaat hai. Phir uska ek zaahir hai, ek baatin hai, ek awwal hai aur ek aakhir hai. Is cheez ka gaur wo fikar karna. Jaisa aap ne ek takiya dekha toh usku Allah ta'ala ki nishani banana kyun ke woh Allah ta'ala ki nishani hi hai balke saara a'alam ek nishani hai isliye usku a'alam kaha jaata aur usku zariya banana Allah ki yaad ka. Us mein Allah ki khudrat ko, ruboobiyath ko, khalq ko, unki musawwiriyyat ko, unke ilm ko, unki hikmat ko etc sonch na chahiye. Is ki gehrayi mein jab jaate hain toh ajeeb ajeeb kaifiyaath hoti hain.


Hum log ku aadat alag hogayi aur haqeeqat alag hai. Masalan jab hum kisi ku dekh te hain toh aadat yeh hogayi hai ke hum shaksiyaat ku dekhte hain. Yeh isliye kyun ke hum ku aadat hogayi aur hum yeh apne aap par hukum laga lete hain ke main Abdullah ku, Zaid ku, Haaris ku dekh rahe hain haalan ke in sab ku hamesha baad mein dekha jaata hai. Haqeeqat yeh nahi hai ke yeh dikhte hai. Inku hamesha baad mein dekha jaata hai. Main pehle gosht ku dekh ta hun. Aag paani mitti hawa se, gallon ki shakal mein, gallon se phir giza ki shakal mein, phir khoon ki shakal mein, khoon se gosht ki shakal mein ek cheez namoodaar hui jis ki khaal hai, jiske baal hai, jiska gosht hai, post hai, haddi hai, jiski rag hai. Hum sirf gosht ke tukdon ku dekhte hain pehle. Yahi wajah hai ke makhlooqaat mein se kisi bhi makhlooq ku hum kaat te peet te nahi kabhi. Sab makhlooqaat mafhoomaat hai khaas. Inki maahiyatein jo hai na jo inki haqeeqatein hain inka taaluq samajh se hai yaan apne taayun se hai baahar se nahi hai. Maslan jaise Zaid hai. Yeh koi khatam karne ki cheez nahi hoti hai balke yeh sirf samajhne ki cheez hai. Inku kaatein ge toh gosht kate ga ino nahi katein ge. Agar aap bottle ku kaatein ge toh plastic kate gi bottle nahi kat tah kyun ki woh mafhoom hai aur mafhoom nahi kat ta. Yeh ek plastic hai jo kisi bhi shape mein ho sakta tha ab is bottle ki shape mein hai.


Ma'loomaat wujood ke a'itebaar se a'in mein aate hai maahiyat ke a'itebaar se gair mein aate hain. La a'in wa la gair.

No comments:

Post a Comment