Dhikr insaan ke haq mein zindagi hai aur Ghaflat insaan ke haq mein maut hai.
Sha'ar: Tera wasl meri hayaat hai, Tera fasl meri mamaat hai (Hadhrat Maseehul Umaat R.A.)
Sulook ki duniya mein Allah paak ke Dhikr ki gair maamooli ahmiyat hai.
Sha'ar of Khwaja Azeez-ul-Hasan R.A. - Kaamiyaami toh kaam se hogi naa ke Husn-e-Kalaam se hogi, Zikr ke iltezaam se hogi aur Fikr ke ahtemaam se hogi.
Dhikr ke teen pehlu hain.
Pehla pehlu Dhikr ka:
===============
Zikr-e-Lisaani: Zabaan ku hamesha Allah ki yaad mein mashgool rakhna - iski do shaklein hai - muta'yyana aur gair muta'yyana.
Gair Muta'yyana: Majaalis, Bayaanaat etcMuta'yyana: Qur'an-e-Majeed ki tilaawat, Masnoon Duaon ka ehtemaam, Durood Shareef ka ehtemaam, Auraad woh Wazaif etc.
Silsile ka Dhikr:-------------------Is mein Dhikr ki jo soorat hai woh soorat ilaaj ke liye hai aur ek tadbeer ke taur par hai. Uske zareeye se dil mein Allah ki yaad khu bithane aur jamaane mein madad milti hai. Apne zahan, apne fikr aur apne tasawwur ku sahi rukh dene ke liye aur buniyaadi makhsadi cheez ki taraf mutawajjeh karne ke liye koi tasawwur diya jaata hai. Silsile ka dhikr bataur e Tadbeer woh Ilaaj diya jaata hai aur kiya jaata hai.Masalan Allah ke gair (Gairullah ki muhabbat) ki muhabbat ku nikaalne ka ek aham kaam hai. Gairullah ki muhabbat saari buraayiyon ki jadd hai.Pehla hissa dhikr ka-------------------------Laa Ilaaha Illallah (200 times) -For mubtadi - Allah ka gair Ibaadat ke laayiq nahi. Allah hi ibaadat ke laayiq hai.For others - Nahi hai koi bhi muhabbat ke laayaq siwaaye Allah ke. Laa Ilaaha ke zariye se gairullah ki muhabbat dl se nikaal rahe hain aur Illallah ke zariye Allah ki muhabat dil mein raasiq ho rahi hai iska tasawwur karna.Is mein jis cheez ki muhabbat khaas dil mein raasiq hai uske nikaal ne ka aur Allah ki muhabbat dil mein jamaane ka tasawwuf bhi kiya jaa sakta hai.
Doosra hissa dhikr ka----------------------------Illallah (400 imes) -Allah ta'ala hi Faail-e-Haqiqi hai (Karne waali zaat Allah ki) is ke dhyaan ke saath kiya jaaye - Tauheed-e-FailiResult: Gair maamooli tasalli ke saamaan1. Unki jaanib se jab aisi baat pesh aayi hai toh unki koi hikmat hogi, maslihat hogi. Mere haq mein hosakta hai ke yeh hi behtar ho.2. Bojh woh takleef woh ranj par Allah ke sawaab ka shaoorTauheed-e-Faili ke unwaan mein do pehlu hai----------------------------------------------------1. Khair wala kaam - Fazl ka nateeja2. Sharr wala kaam - Adl ka nateeja _ kotaahi ki wajeh se bhi hosakta haiHamesha Fazl ku maangna chahiye, Adl nahi. Sufi sahab farmaate the ke Allah ke fazl ke bhikaari bane raho.Teesra hissa dhikr ka---------------------------Allahu Allah (600 times) -Allah hi sifaat-e-kamalia se muttasif hain aur unhi ka noor kaayenaat mein jalwagar hai aur woh mujhe muheet hai aur mein noor-e-haq mein aisa hi dooba hua hun jaise machli paani mein doobi hui hoti haiAllah kehne ke liye bhi Allah chahiye - Hayaat, Ilm, Irada, Khudrat (khuwwat) yeh sab chahiye Allah kehne ke liye aur yeh sifaat hamare zaati nahi hai ataayi hai (amaanat hai). Allah ke diye hue hain aur tasalul ke saath hai. Jab tak dein tab tak hai aur jab na dein toh nahi.Sha'ar: Baaraan-e-rehmat ham par hai har dum sada teri khuda, Har aan hai har aan hai hum par ataa teri khuda.Paas-e-Anfaas: Dhkr ka ek tareeqa. Paas ke maane hai "lehaaz" aur Anfaas "Nafs" ki jama hai. Paas-e-Anfaas ka matlab hua "Saanson mein (Dhikr ka) lehaaz". Yaane saans lete waqt aur chodte waq Allah ku yaad karna.
Sulook woh tarbiyat ke silsile mein jitna kaam diya jaaye usku lete rehne ka ahtemaam karna hi karna hai- Hadhrat farmaaye ke Uqli mein sar de diye toh musssal se kya darna.Dhikr ke shuru mein dua- Aye Allah aapka kalima aapke taufeeq se aapki muhabbat dil mein bithaane keliye dohraane ka iraada kar raha hun. Aap ise qubool farma kar mere dil ku apne gair se paak farmaa deejiye aur apni muhabbat mere dil mein paida farmaa deejiye.Dhikr ke qatam par dua- Dhikr mukammal karte waqt yeh kehna chahiye keh aye Allah paak aap ka mubaarak naam lete huwe rehne ke silsile ku rok ne ku jee nahi chah raha hai magar choon ke aap ke doosre bhi ahkaam hai. Un ahkaam ke poora karne ke liye main is silsila-e-dhikr ku mauqoof kar raha hu.
Doosra pehlu Dhikr ka:
================
Zikr-e-Haqiqi: Har mauqe par unki marzi kya hai aur uske mauqe par unki marzi ke mutaabiq kaam anjaam dena.Result: Har galat amal se bachna aasaan hojaataMalfooz of Hadhrat Jalalabaadi: Kisi bhi kaam ku karne se pehle zara ruk jao, dekho pehle phir amal karo.Sha'ar: Qalbul ahmaqi fee feehi wa Lisaanul aaqili fee qalbihi (Bewaqoof aadmi ka dil mu mein hota hai aur samajhdaar aadmi ka muh dil mein hota hai).Taqwe ki tafseelaat - Parhezgaari - Kisi bhi baat ke karne se pehle, kisi bhi kaam ke karne se pehle aur Jism ke kisi bhi uzw ke istemaal karne se pehle Allah ki marzi kya hai woh dekhna chahiye.Misaal: Aise zindagi se guzarna jaise khaar daar darakhton ke darmiyaan se guzra jaata hai.Sha'ar: Hai bahut pecheedah raah-e-zindagi, Ho bahut hoshiyaar reh-rawaan-e-zindagi.Qaul: Buzurg yeh bhi kehte hain ke jo yahan se taqwe ke saath guzar gaya woh Pul Siraat par se aasaani se guzar jaata.
Teesra pehlu Dhikr ka:
================
Ek khaas maqaam ke haasil karne ke liye (jo pehle ke mazmoon se mila hua hai):
Teen maraatib hain (Istelaahi haiseeyat se):---------------------------------------------------------Maqaam-e-Saalihiyat: Mahboobiyat ka pehla darjaMaqaam-e-Shahaadat: Mahboobiyat ka doosra (aage ka) darjaMaqaam-e-Siddeeqiyat: Mahboobiyat ka teesra (aage se aage ka) darjaNOTE: Maqaam-e-Nubuwwat ka darwaza band hai. Ambiya Saaliheen, Shuhada woh Siddeeqeen bhi hote hain.Malfooz of Hadhrat Maseehul Ummat R.A.: Allah ke pasandeeda bandon ki 4 jamaatein hain (Jamaat-e-Saaliheen, Jamaat-e-Shuhada, Jamaat-e-Siddeeqeen, Jamaat-e-Ambiya). Pehli jamaat (Jamaat-e-Saaliheen) mein daakhila lena farz hai aur chohti jamaat (Jamaat-e-Ambiya) mein daakhila band hai. Aur doosri woh teesri jamaat mein daakhila lena fazeelath ka hai.
Jis cheez par nigaah pade uske Khaaliq aur Maalik Allah hone ku mustahzar karna. Nazar toh cheez par pad rahi hai lekin maalik woh khaaliq Allah hone ki fikr hai. Itna mashq karna ke koi bhi cheez saamne aayi toh uske Allah khaaliq woh maalik hai yeh yaad aajaana. Kaayenaat ki har cheez ku Allah ki yaad karne ka saba banana. Jis cheez par nazar pade Allah hi uske khaaliq hai Allah hi uske maalik hai. Hamari nazar parwardigaar ki khabar dono ku jama kar lena.Sufi sahab ka malfooz: Jo cheezein auron ke liye Allah se ghaflat ka sabab hain woh hi cheezein hamare liye (Allah ke Fazl se)Allah ki yaad ka zariya hain.Sirf sabaq ka yaad karna nahi uska asar zindagi mein bhi aana. Yaane anfus woh aafaaq ki zheezon ke istemaal mein apni marzi nahi chalana balke Allah ki marzi se kaam lena. Sirf yaad rehne ku Malika-e-yaad daasht kehte hain.Aur jab aadmi amal aisa (Allah ke marzi ke mutaabiq) karta hai toh woh amal Amal-e-Saalih kehlaata hai.
No comments:
Post a Comment