Monday, May 18, 2015

Deen ki buniyaadein

Deen ki buniyaadon mein teen cheezen hai (speaking with different perspective) - Masjid ka hona, Madrasa ka hona aur Aalim ka hona. Masjid koi bhi musalmaan ke liye har waqt available hona. Agar kisi maslihat se band bhi karna pade toh kam az kam itna hissa opne rehna ke koi agar namaz yaan zikr woh tilaawat karna chahe toh woh kar sake aur agar koi itikaaf karna chahe toh band bhi nahi karna chahiye. Isi tarah koi aisa madrasa hona chahiye ke koi bhi musalmaan kisi bhi waqt koi bhi bhi masla jaan na chahe toh woh available rehna. Aur yeh dono nizaam ku chalane waale Ulema hote hai toh ache Uleama ku rakhne ki koshish karna chahiye. Yeh poora system jitna acha jahan hoga wahan utna acha deen paaya jaayega.

No comments:

Post a Comment