Jab Insaan apne har amal/kaam mein Allah ki rahbari ikhtiyaar karta hai toh usay "Hidayat" kehte hai. Aur jo amal Allah paak ki rahbari ke bagair kiya jaata hai us ku Qur'an ki zabaan mein "Hawa" kehte hain. Aur jo amal Allah ki rahbari ke bagair hoga woh nuqsaan pahunchayega (Duniya mein bhi aur Aakhirat mein bhi). Saare Insaanon ku Rasoolullah S.A.W. ne Allah ka Ilm diya hai taake hum apne har amal mein Allah ke Ilm ku shaamil karke usku anjaam dein. Is se bada gumrah koi nai jo Allah ki Hidayat ku chod kar apni Hawa par chal ta hai. Aur is hawa ke do hisse hain - ek "Gussa" hai and doosra "Khwahish" hai. Aur yeh do hisse badi hikmat se Allah paak ne insaan ke andar rakhe hain. Inhi ki wajah se Insaan ki taraqqi hai hai aur inhi ki wajah se Insaan ki tabahi hai. Agar in mein Allah ki Hidayat ku shaamil karein toh taraqqi hai aur agar Hawa ku shaamil karein toh zalaalat hai.
Insaan ku kuch haasil karna hota hai aur kuch cheezon se apne aap ku bachana hota hai. Haasil karne ke liye khwahish rakhi gayi hai aur bachane ke liye gussa diya gaya hai. Aadmi in ke istemaal mein sahih faisla nai karta / tay nahi karta isliye in ka galat istemaal hota hai. Isliye gussa aaj pareshaani ka sabab bana hua hai. Hum apni marzi ke khilaaf jo cheez hoti hai us se gusse mein aajaate hain. Haalaanke gusse ka istemaal apne ku jo nuqsaan pahunchane waali cheezein hain chahe Duniya mein ho yaan Aakhirat mein un se bachane ke liye karna chahiye. Gusse ka jo mahl hai woh asal mein apna nafs hai. Jab deen mein kami aati hai yaan deen ka amal choot jaata hai toh gusse mein aana chahiye maslan agar Namaz choot gayi toh apne aap par gusse mein aana chahiye ke maine kaise Namaz chod di. Gussa jo hai woh shaitaan ka asar hai. Aur shaitaan aag se bana hai aur jab aadmi gusse mein aajaata hai toh us aag ka asar insaan par numaayan hota hai. Is liye agar kisi naagawaar baat par gussa aajaaye toh bajaye aage badne ke peeche hat jaayein jaise khade ho toh baith jaayein, baithe ho toh lait jaayein. Aag ku paani bujhata hai toh gusse ki haalat mein paani pee lein yaa wazu kar lein.
Isi tarah khwahishaat ka muamla hai. Har woh khwahish jis mein Allah paak ki hidayat shaamil nahi woh gumrahi aur zalaalat hai. Is mein hota yeh hai ke aadmi ki khwahish ka rukh hamesha buraayi par hota hai balke us ki jaayez khwahishaat bhi usay naa jaayaz mein hi mubtela karti hain kyun ke us mein bagair dhakele hawa chodti nahi hai. Isi liye jo apne Hawa mein Hidaayat ku nahi milaayega us se bada gumraah koi nahi hai. Is liye is mein teen kaam aadmi ku karne padte hain. Ek yeh ke aadmi ku talab laani padti hai ke mujhe apne har action mein har amal mein Allah ki hidaayat ku milaana hai. Doosri cheez yeh hai ke us Ilm ku / us knowledge aur details ku jaan na hota hai ke mere har amal mein har action mein Allah ki marzi hai kya. Aur teesri cheez yeh hai ke us ke mutaabiq apni tabeeyat ku apply karne ke liye mashq karna hota hai. Kyun ke hamari aadatein jo hai woh Hidaayat se hati hui hoti hai. Hamari fitrat toh Islam ke muwaqfiq hoti hai lekin hamari tabeeyat Islam se aur Shareeyat se hati hui hoti hai aur Tabeeyat ka doosra naam "Nafs" hai. Aur nafs burayi ka hukum karne waala hai. Isliye hamari tabeeyat shareeyat se hati hui hoti hai. Isliye apni Tabeeyat ku Shareeyat pe laane ke liye ek bridge hai jisku paar karna hota hai. Ek poore process se guzarna padta hai.
Is mein pehle toh talab aur fikr paida karna hota hai, phir sahih Ilm haasil karna hota hai ke amal kis tarah kiya jaaye, aur us par chalne ki mashq karna hota hai. Amal karne ke liye talab aur fikr paida karne ka kaam Tableeg/Daawat ki mahnat hai. Sahih Ilm ke liye Madaaris aur Ulema ka nizaam hai. Apne aap ku ulema ke paas bhithana hota hai aur sahih Ilm seekhna hota hai. Aur amali mashq karane ka naam "Tazkiya" hai. Is mein kisi ku apna ustaad banana hota hai / musheer woh rahbar banana hota hai yaane kisi ku apna bada banana hota hai aur us ki sohbat mein rahkar uski rahbari mein amali mashq karna hota hai. Agar aisa na kiya jaaye toh khatra hai ke hamari duniya toh duniya hojaati hi hai balke apna deen bhi duniya hojaata hai. Jab in teenon cheezon ka lihaaz rakha jaaye toh deen bhi deen aur duniya bhi deen hojaata hai.
No comments:
Post a Comment