Aitebaaraat & Intezaai Umoor - poori kainaat aitebaaraat ki duniya hai Allah paak ki. Isi liye yeh shaks a waahid hai.
Jitni maqlukhat hai unki maiyat Intezaai hai. Tamam maqlukhat Umoor e Intezaai hai. Noor ke parde mein jalwa gar hai yaan zaahir hai. Kainaat saari kun se hai.
Tamam maujudaat ka mansha e inteza wujood e haqiqi hai.
Hai pan alag hai cheez/hai alag hai.
Maqlukhat ki haqeeqat maaloomaat e ilaahiya hai. Un maaloomaat ko haq taala shaanahu ne zaahir farmaaya hai apni sifaat ka asar daal kar.
Sifaat ke kai aqsaam hai. Ummhaat ul sifaat, asma e takweeni, asma e tashreeyi, asma e kiyaani.
Ummhaat ul sifaat - hayaat, ilm, iraada, khudrat, samaat, basaarat aur kalaam. In ka sabse bada hissa Allah Ta'ala ne insaan ko ata farmaya hai. Balke Allah Ta'ala ne apni zaat ki bhi tajalli daali hai.
Allah Ta'ala apni zaat me apne sifaat mein apne afwaal mein apne aasaar mein ekta hai. Allah Ta'ala ne maqlukh ko apni isme zahir se zahir farmaya hai. Similarly others.
Isliye mai mayyit hun, jaahil hun, muztar hun, aajiz hun, andha hun, gunga hun, behra hun. Unka maaloom hun aur kuch nahi hun. Uno diye toh le sakta hun nai toh nai. Allah Ta'ala ne apni sifaat aur asma ki tajalli farmai hai. Is ko iqtezaat e zaatiya kehte hain.
Aitebaaraat e Uluhiyat 5 hai
1. Khaliq - Makhluq
2. Maalik - Mamlook
3. Haakim - Mahkoom
4. Rab - Marboob
5. Ma'bood - Aabid, Abd
Aitebaaraat e Risaalat 5 hai
1. Muallim - Mutaallim (Taalib e Ilm)
2. Muzakki - Mutazakki
3. Muta'a - Muthi
4. Matbu' - Muttabe
5. Mubasshir wo Munzar - Basharat aur Nazarat lene waala
Aitebaaraat e Abdiyat 5 hai
1. Faqeerullah
2. Ameenullah
3. Waliyullah
4. Khaleefatullah
5. Abdullah
No comments:
Post a Comment