Kaayenaat ke andar Allah paak aisi tajalli hai ke us wujood ke samandar mein saari makhlooqaat tayr rahi hai.
Allah paak Aleem hai and makhlooqaat unki Ilm ki ma'aloomaat hai
Makhlooq makhlooq hone se pehle ma'aloom hai
Sonchne ki cheez hai ke makhlooq jis material se paida huwi woh kya hai?
Khalq ka jo marhala aaya hai us mein kya cheez hui?
Yahan par Mufti saahab ne Unsur aur Mawaaleed ka zirk kiye.
Kis tareeqe se Asmaa ka taraaqub aur zuhoor hota hai in pe? Yeh imkaan ki bahas mein aata hai.
Khaaliq apni makhlooqaat ke saath kaisa taalluq rakha hua hai?
Yeh jab khule ka utni ma'arifat haasil hogi aur utni hi azmath khule gi, utna hi apni muhtaaji ka ahsaas hoga etc.
Amal ka wazan ba aitebaar e ma'arifat hai. Jitni ma'arifat ke saath aap amal anjaam denge utna wazandaar woh hoga.
Aur is mein kitni chaahe taraqqi kar sakte. Naboowat ka darwaza band hai lekin wilaayat ka nahi.
Khaaliq/Qayyoom aur Makhlooq (Faatir woh Maftoor, Mubdi woh Mubdaa) ke bahami taalluq ki misaal:
================================================================
Ham ek aise hakeem aur daanishmand aadmi ku farz karte hai jo falaahiyat woh baagbaani woh kaashtkaari mein maharat rakhta hai. Uske saath woh fanne taameer aur fauji tarbiyat aur madani (mulk ki) siyaasiyaat aur tadebeer e manzil (ghar ke tadaabeer, ghar ki siyaasat) se bhi waaqif hai. Islaami siyaasat mein jaan, maal aur izzat ki hifaazat hoti hai aur sahi siyaasat yeh hi hai. Yaane yeh aadmi aisa hai ke har line ka ilm use haasil hai aur uske tabeeyat mein nafaasat, nazaakat aur lataafat bhi hai. Aur woh Ilm e Nujoom se bhi waaqif hai. Yaane har zaati kamaalaat se woh shaqs waaqif hai.
Ab woh shaqs apne khayaal mein ek hukoomat qaayim karta hai. Us mulk mein poora agriculture ka, baagon ka, sadkon ka nizaam qaayim kiya, aur fauji nizaam, court kacheri ka nizaam sab qaayim kiya. Yeh khayal sarsari nahi balke tahtashhaoor ke bajaye fauqashhaoor mein qaayim kiya gaya. Yeh saari cheezein jis ku us ne farz kiya woh goya us ke saamne woh maujood paat hai. Aur apne khayal mein woh apne aap ku takhte saltanat par paat hai. Pas yahi sawaal hai ke hakeem jab us ke khayal se yeh saari cheezein tasawwur kar raha hai toh kya yeh cheezein uske khayal se alag hai? faatir wo maftoor ke bahami misaal samjhne ke liye is misaal se badi madad milegi.
In the first line it should be Allah Paak ki*
ReplyDelete