Ma'aloom apne wujood mein Aleem ka muhtaaj hota hai aur wujood ke tasalsul mein yaani baqa mein bhi Allah/Aleem ka muhtaaj hota hai.
Wahdatul Wujood = Qayyumiyat.
Jab wujood mein muhtaaj hai toh sifaat mein bhi muhtaaj hai.
Sifaat mein 7 ummahaat-us-sifaat hain - Hayaat, Ilm, Iraada, Khudrat, Basaarat, Sama'at, Kalaam.
Iraadah do jaanibain mein se ek ku tarjeeh de paane ko kehte hai.
Ham mayyit hai, jaahil hai, muztar hai, aajiz hai, andhe hai, behre hai, gunge hai - Sifaat-e-taqaabul-e-adam-ul-malaka.
Yeh hi kathore hai Allah paak ke sifaat ka mazhar daale jaane ke.
Hamare in Taqaabul-e-adam-ul-malaka waali sifaat se Allah paak se sawaal karte hai. Yeh hamara sawaal hai asal mein.
Cycle jaa nahi hai balke le jaayi jaa rahi hai isi tarah hum hayaat nahi hayaat di jaati hai, hum sun te nahi sunaaye jaate hai, bolte nahi bulwaaye jaate hai, dekhte nahi dikhaaye jaate hai, iraada karte nahi iraada karaye jaate hai.
Har feil mein faail Allah hai.
Sifaat-e-adamiya mein Sifaat-e-wujoodiya ki tajalli hoti hai aur is mein takraar hota hai kise Tajaddud-e-Amsaal kehte hai (Misl ka tajaddud). Isi ku Qayyumiyat kehte hai.
Khalq jo hai woh muhtaaj hoti hai Allah paak ki. Is ihtiyaaj ka khulna Laa Ilaaha Illallah ka khulna hai. Isi liye Allah waale apne naam ke aage Faqeer lagate the.
khaaliq ka taaruf yeh hai ke uska koi khaaliq nahi aur makhloq ki taareef yeh hai keh uski koi makhlooq nahi hoti.
Makhlooq ka koi kamaal makhlooq ki taraf mansoob nahi hota. Isi liye laayaq-e-hamd Allah paak hi hain.
Makhlooq ka jo faqr hai woh yeh hai ke woh khud se nahi reh sakti. Allah keh hijaab-e-noor se hi qaayim reh sakti hai.
Muhammad-ur-Rasoolullah - Istemaal e amaanat ke liye aap (S.A.W.) hai. Amaanat ka pehlu. Yaani jo kamaalaat-e-wujoodiya diye gaye hai us ka istemaal ksi tarah kiya jaaye.
Laa Ilaaha Illallah "faqr" ku kholta hai aur Muhammad ur Rasoolullah "amaanat" ke pehlu ku kholta hai.
Hokar fana rasool mein apne ku dekhna, kuch is tarah bhi hoti hai ziyaarat rasool ki.
Mureed Sheikh mein faani hota hai aur Sheikh Rasool mein faani hota hai aur Rasool Allah mein faani hota hai.
Jab faqr khulta hai toh banda Faqeerullah hota hai. Is se istedaad e amaanat paida hoti hai. Uske baad jab amanat ka sahi istemaal karta hai toh Ameenullah hota hai. Jab amanat ka haq ada karta hai toh Waliyullah hota hai. Aaur jab apni wilaayat se Allah ke bando ku Allah se milaane ka kaam karta hai toh Khaleefatullah hota hai. Aur jab is par jam jaata hai toh Abdullah banta hai.
Apne faqr ke khul ne se faani fillah hota hai banda aur itteba-e-rasool ke saath baaqi billah hota hai.
Pehla sabaq - har shay ku dekhte hi yeh samajh na ke yeh makhlooq hai aur Allah uska khaaliq hai. Aur makhlooq hai toh mamlook hai - Allah iske maalik hai.
No comments:
Post a Comment