Hadhrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi R. A. ke paas Hadhrat Maulana Haaji Imdaadullah Sahab Muhaajir-e-Makki R. A. ne kehla bheja tha ke Raheed Ahmad se kaho ke kabhi khat nahi likhte aur apne haalaat ki ittela nahi dete. Kya baat hai? Sheikh ko toh haalaat ki ittela dete rehna chahiye. Hadhrat Gangohi ne khat likha aur farmaaya keh Hadhrat haalaat ki ittela toh woh de jisko haalaat hote hon kuch. Mujhe aate hi kya hain, mere haalaat hi kya hain ke main haalaat ki ittela doon kuch. Phir us ke baad mein likha ke albatta jo baat main mahsoos karta hoon woh yeh hai ke kisi ke taareef karne par khushi nai hori aur kisi ke mazammat karne par tabeeyat par kuch takleef nai hori yaani koi buraayi kar de toh bura nai lagra aur koi taareef karde toh acha bhi nai lagra. Jab yeh khat pahunch toh Hadhrat Haaji sahab ne jawaab likha aur farmaaya ke "Tauheed-e-Af'aali" mubaarak ho. Asal yeh haal jo hai yeh Tauheed-e-Af'aali ka hota hai. Tauheed-e-Af'aali ke andar bandah itna mutawaazeh hojaata hai, itni fana-iyat us mein aati hai ke acha aur bura (wal qadri khairihi wa sharrihi minallahi taala) Allah ki taraf se hai yeh istihzaar rehta hai.
Feyl jo hain woh harkat ke andar hota hai. Harkat mein faail Allah ku dekhna. Ashiya mein jo gair mutaharrik ashia hain us mein khaliq aur maalik Allah ku dekhna aur jis shay ke andar jo harkat paayi jaati hai us harkat ka faail Allah ku dekhna. Ab woh harkat dost ki ho ke dushman ki ho, bolne se ho ke bartaaw se ho, apne se ho ke paraaye se ho, woh harkat fan ki ho, woh harkat light ki ho, woh harkat gaadi ki ho, woh harkat paani ki ho, woh harkat darakhton ki ho, hawa ki ho us ke peeche Allah paak ku dekhne lag jaana yeh Tauheed-e-Af'aali hota hai.
No comments:
Post a Comment