Ek soofi darvesh ek raat bahut hee ikhlaas se Allah ka naam ke raha tha hatta ke is pur khuloos dhikr se is ke lab sheereen ho gaye.
Shaitaan ne kaha aye soofi khaamosh bhi ho tu be faidah dhikr ki kasrat kar raha hai. Allah ki taraf se to koi jawaab tujhe milta nahin phir yak tarfah muhabbat ki peeng badhane se kya faidah? Shaitaan ki is pur-fareb baaton se yeh soofi shikastah-dil aur afsurdah ho kar soo gaya aur dhikr ku multavee kar diya.
Khwaab mein dekhta hai ke Hadhrat Khizr A.S. tashreef laaye hain aur daryaaft kar rahe hain ke dhikr se kyun ghaflat ki. Soofi ne kaha ke Allah ki taraf se labbaik ki aawaaz nahin aati jis se dil mein khayal aaya ke hamaara dhikr qubool nahin.
Hadhrat Khizr A.S. ne kaha ke tujh ko Allah ne paigaam bheja hai aur farmaaya hai ke mere is bande se keh do ke:
Aye bande tera Allah kehna hi mera labbaik hai yaani jab tera pehla Allah qubool ho jaata hai tab doosri baar tujhe Allah kehne ki taufeeq hoti hai. Pas yeh doosri baar Allah kehna meri taraf se labbaik hai aur aye bande tera yeh niyaaz aur mere ishq mein yeh soz-wo-dard sab mera paigaam hai.Aur aye bande meri muhabbat mein teri yeh tadbeerein aur dhikr-wo-shugl aur mehnatein sab hamaari taraf se jazb-wo-kashish ka 'aks hain. Kisee ne khoob kaha hai ke"Meri talab bhi kisee ke karam ka sadqah hai,Qadam yeh uth-te nahin hain uthaaye jaate hain."Aye bande tera khauf aur tera ishq meri zaat se mera hee in'aam hai aur meri meherbaani wo muhabbat ki kashish hai aur tere har baar "Ya Rabb, Ya Rabb aur Ya Allah" ki pukaar mein mera labbaik bhi shaamil hai. Yaani jab tu "Ya Allah" kehta hai toh meri yeh aawaaz bhi wahin maujood hai ke haazir hoon main aye mere bande (Fa-innee qareeb).Jaahil ki jaan is dhikr-wo-dua se mahroom hai aur un ko "Ya Rabb" kehne ki taufeeq hee nahin.
Faidah: Dhakireen ke liye is hikaayat mein badi khush-khabri hai. Pas dhikr ke waqt yeh tasawwur bhi rakha jaaye ke hamaara pehla "Allah" qubool hota hai jab hamaari zabaan se dobaarah "Allah" nikalta hai aur yahee dobaarah "Allah" nikalna pehle "Allah" ki qubooliyat ki 'alaamat hai.
Mubaarak ho dhakireen ke liye yeh in'aam. Allah t'ala ham sab ko apne dhikr ki ta-aakhri saans taufeeq bakhshein. Aameen.
No comments:
Post a Comment