Monday, August 17, 2015

Khud shanasi Haq shanasi (Nazam)

Ma'arifat ka hai yahi awwal sabaq
Zaat do hain - Neest (non existent) Bandah Hast (existent) Haq

Saabit-uz-Zaat aur Masloob-ul-Wujood (Saabituzzaat fil Ilm Masloobul Wujood meaning Zaat ke aitebaar se Ilm e Illahi mein saabit hai aur Wujood ke aitebaar se manfi hai, khaali-ul-wujood hai)
Bandah hai Bood ( man is being/existent ) wo Nabood is ka namood (Nabood means "not" and Namood means "appearance" so in this case it is non-existent is it's appearance)

'Aarifon ne ki hai yun ta'areef-e-zaat
Jis se hon mansoob Asma' wo Sifaat

Bolta, Sunta, Samajta, Dekhta,
Chahta, Zindah, Qaadir hai Khuda

Goonga, Behra, Be-Samajh, aur Be-Basar,
Be-Iraada, Murda, Be-Qudrat Bashar

Zaat-e-Kaamil Haq ke hain kaamil Sifaat
Zaat-e-Naaqis 'Abd ke naaqis Sifaat

'Abd wo Rab mein hai haqeeqi ghairiyat (otherness)
Ba-wajood yeh ghairiyat hai 'ayniyat (sameness or exactness)

Gar che har do mein hai zaatan gairiyat (zaat ke aitebaar se gair hai)
Par hai un do mein wujoodan 'ayniyat (wujood ke aitebaar se 'ayn hai kyun ke ma'loom ka apna wujood nai rehta, woh khaali 'anil wujood hain aur jo khariji wujood hai wo bhi haqeeqi nai hai, zilli hai, namood hai bas)

Raastah kalimah mein hai kaunain (dono jahan) ka
Jama' kar dikhlaata hai yeh ziddain (opposites) ka

Jame'-ul-Azdaad (collection of opposites/bundle of contradictions) kaamil peer hai
Kaamil-ul-Irshaad (of full guidance) kaamil peer hai.

No comments:

Post a Comment