Monday, August 17, 2015

'Adam-e-Idhafi ke ma'ani aur qismein

'Adam ke ma'aney aur qismein!!!

'Adam ke ma'aney nahin ke hai.
'Adam ke do qismein hai:
1) 'adam e mahadh 
2) 'Adam e idhaafi


'Adam mahadh woh jiss ka 'thaboot 'ilm e ilaahi mein nah ho aur woh kabhi bhi khaarij mein yaa daaqil mein paayaa nah jaaye. Mathlan- Allah ke jaisa Allah ya Allah ka muqabil Allah.

'Adam e idhaafi wo hai jis ka 'thaboot 'lim e ilaahi mein ho aur jis mein wujood aur wujood ke kamaalaat haasil karney ki  ist'adaad maujood ho aur jo inn kamaalaat ke iste'maal mein mukhtar BHi ho mathlan khoosasan 'insaan '

'Adam e idhaafi ke phir mukhtalif 'ajzaa hai

Taken from khud shanasi and Haqq shanashi by Hadhrat shah kamaalur Rahman SB DB

No comments:

Post a Comment