Monday, August 17, 2015

Isti'aanat ke Tareeqe

Insaani zindagi ki paanch haalatein hain. Jitne insaan hain sab par yeh haalaat guzarte hain. Insaan kisee mulk ka rehne waala ho, kisee qaum ka ho, kisee mazhab ka maan ne waala ho, kisee jam'aat yaan firqe se t'alluq rakhta ho, in haalaat ke wurood (utarne) se koi bach nahin sakta. Sab par yeh haalaat taari hote hain.'Aam insaan ho ke baadshah, faqeer ho ke ameer, musalmaan ho ke kaafir, neyk ho ke bad, aurat ho ke mard, bacha ho ke boodha, sab inhee paanch haalaat mein zindagi guzaar rahe hain:


1. Haajaat wo Muraadaat  
    is haalat mein dua karne ka hukm hai

2. Haalat-e-Gunah
    is haalat mein taubah karne ka hukm 
    hai

3. Haalat-e-Kaarobaar  
    is haalat mein tawakkul karne ka 
    hukm hai

4. Haalat-e-Museebat 
    is haalat mein sabr karne ka hukm hai

5. Haalat-e-N'emat  
    is haalat mein shukr karne ka hukm 
    hai



Dua, Taubah, Tawakkul, Sabr aur Shukr - yahee hain isti'aanat ke tareeqe.

No comments:

Post a Comment