Thursday, October 1, 2015

Aqwaal ul Jamaal - Zikr-e-Dawaasitah ki Dua, Tasawwur aur us ka Haasil

Aye Allah aap ki aufeeq se, aap ka kalimah dohraane aur aap ka zikr karne ki neeyat karta hun. Aap is ko qubool karte huwe mere Dil ko nooraani bana deejiye aur Makhlooq ki muhabbat mere Dil se nikaal kar apni azmat-wo-muhabbat mujhe ataa farmaaiye. Aur mere kotaahiyon ki jo zulmat hai woh mere Dil se nikaal kar apni Ma'arifat ka noor mujhe ataa farmaaiye. Aur jo tere ghair se Dil mutaalliq hai un se us taalluq ko khatam kar ke aap apne aur apne Habeeb S.A.W. se gahra-wo-sachha taalluq ataa farma deejiye. Aur Duniya ki cheezon ki jo fikr daaman-geer hai woh fikr mere andar se nikaal kar aap ki raza waale 'Aamaal ki fikr mujhe ataa farmaaiye.

Zikr-e-dawaasitah:

Laa Ilaaha Illallah - 200 times
Illallah - 400 times
Allahu Allah - 600 times
Allah - 100 times and/or Yaa Hayyu Yaa Qayyoom - 100 imes

Laa Ilaaha ke waqt jo tasawwur aap ko sataa raha hai us ko nikaal ke Dil se phenk deejiye. Illallah ke zariye se Allah ki Muhabbat wo Ma'arifat ko Dil mein raasiq karne ke iraade se Laa Ilaaha Illallah 200 martaba dama dam karna chahiye.

Is zikr ke zariye se ek taraf tawajjo karne ki salaahiyat paidah hoti hai. Is ke zariye yaksoo-i haasil hoti hai. Aur is ke zariye se khuwwat-e-khayaaliyah mein pukhtagi aati hai.

Aata nahi suroor,
mai'-e-laa piye baghair.

Peena na aaye tujh ko kabhi,
Dil diye baghair.

Haan dekh is Tijaarat-e-Rabb-ul-Quloob ko,

Apna banayenge na kabhi Dil liye baghair.

No comments:

Post a Comment