Thursday, October 1, 2015

Aqwaal ul Jamaal - Mujaahidah, Maqaam-e-Saaliheeyyat (Tauheed-e-Aasaari), Maqaam-e-Shahaadat (Tauheed-e-Af'aali)

MUJAAHIDE KA PEHLA DARJAH
====================

Pehle darje ke mujaahide mein hamaara kaam hai ke Aasaar mein Maalikeeyat ka istihzaar rakhein. Agar Allah ka Maalik hona yaad nahi rehta, cheezon ke saamne aane par ke Allah us ke maalik hai aur yeh cheez Allah ki mamlook hai. Agar yeh baad yaad nahi rehti toh is pehle darje mein pehle maqaam ke hissab se yeh ghaflat kehlaati hai. Aasaar mein Maalik -e-Haqeeqi, kaayenaat ke zarre zarre ke Haq Ta'ala hain yeh yaad rakhna. Yeh yaad na rahe toh us ka naam Ghaflat hai. Aur is ghaflat par yaad ko ghaalib karne ki koshish karne ka naam Mujaahidah hai.

Aasaarullah: Allah Jalle-Shaanahu ne apne Qudrat-e-Qaahirah se, Sifat-e-Takhleeq se jin cheezon ko paidah farmaaya, zaahir farmaa diya toh ab woh jitni cheezein un ke Feyl-e-Takhleeq ka asar hai woh Aasaar kehlaate hain. Zameen ek asar hai, aasmaan ek asar hai, pahad ek asar hai wagaira. Aadmi koi cheez haath mein leke board pe jab koi harkath karta hai toh us harkat ke nateeje mein jo nishaan aata us ko Asar kehte hain. Feyl ka nateejah hai wahan jo nakhsha nazar aa raha hai, wahan jo huroof nazar aa rahe hain, wahan jo phool nazar aaraha hai. Woh aadmi ke feyl ka nateejah hai. Aise hi kaayenaat ki jitni cheezein hain yeh Allah ke feyl ka nateejah hain. Toh Allah ke feyl ke nateejeh ke taur par kaayenaat ka zarrah zarrah Aasaar hai, Aasaar-e-Feyl-e-Ilaahi hai. Aasaaullah kehte hain in ko.

In cheezon ke oopar jab bhi nazar pade Allah ke Maalik-e-Haqeeqi hone ko yaad rakhna. Yeh samajhna ke Allah is ke Maalik hain aur yeh Allah ki Mamlook hai. Yeh yaad hai, taazah hai yeh cheez toh is ko YAAD kehte hain. Yaad nahi hai, tawajjuh nahi hai is cheez ki taraf toh is ka naam GHAFLAT hai. Ab mujaaidah kis baat ka hai? Is baat ka hai ke Yaad ko ghaalib karna Ghaflat par. Us ki jo koshish hai us ku bolte Mujaahidah. Hamaare pas apne buzurgon ki istilaah mein "Ghaflat par Yaad ko ghaalib karne ki koshish karne ko Mujaahidah kehte hain ( is line ka )". Pehle darje mein, pehle maqaam mein, Maqaam-e-Aasaari mein aur Tauheed-e-Aasaari mein (pehli Tauheed waale marhale mein)  Yeh kaam hai jo aap ko karna hai ke jab kisi cheez par nazar pade toh yaad rakhna ke yeh Mamlook hai aur is ke Maalik Allah hai. 

Ab yeh mujaahidah sahih rukh pe ho raha hai yaan nahi is ki bhi kuch 'alaamaein rehte. Maqsad kya hai is mujaahide ka. Maqsad yeh hai ke aap us cheez ka ist'imaal sahih kar rahe hain yaan nahi. Agar cheez ka ist'imaal aap sahih kar rahe hain ke jaisa ke Sharee'at mein ijaazat hai, jaise Qur'aan-wo-Sunnat ka hukum hai, jaisa Mansha-e-Rabbaani hai jis ke saath Allah ki rizaa waabasah hai agar aap waisa hi ist'imaal kar rahe hain toh mujaahidah sahih rukh pe hai yeh samajhna chaahiye aur yeh jo aap ko Yaad haasil hai yeh Yaad jis maqsad ke haasil karne ke liye taaleem dee jaa rahi hai goya woh maqsad poora ho raha hai.

Ab agar koi kisi par zulm-wo-ziyaadati kar raha hai toh is ka matlab yeh hai ke Allah ke us ka jis par woh zulm kar raha hai Maalik hone ka istohzaar nahi hai. Ilm mein toh hai ke Maalik Allah hai lekin Yaad qaayim nahi hui hai. Poochne par yeh bataa bhi raha hai ke Allah us ke Maalik hai. Ilmi aitebaar se ek baat zahan mein baithi hui hai lekin us ka koi taassur qalb mein nahi aaya hai toh matlab yeh hai keh sahih ilm nahi aaya hai. Is liye ke ilm toh wohi Ilm hai jo Ilm-e-Naafe' ho. Jis Ilm se koi nafa haasil nahi ho raha hai toh woh Ilm toh Ilm-e-Naafe' nahi hai.

Yeh cheez agar haasil hogayi toh usee ko kehte hain yahi TAUHEED-e-AASAARIhai, yahi MAQAAM-e-SAALIHEEYYAT hai. Yaani Maali-e-Haqeeqi ke istihzaar ke nateeje mein aadmi ka sulook aur rawayya, 'amal har har cheez ke saath sahih hone laga hai. Aur har cheez ke saath waisa sulook karna jaisa Maalik ka hukum hai, usee ka naam NEKI hai aur usee ko SAALIHEEYAT kehte hain, wohi Salaah aur Durusti hai aur aisa karne waala shaqs SAALIH hai aur us ke majmue ko SAALIHEEN kehte hain. Ab kaaynaat ke har har cheez par nazar padte hi andaroon mein ahsaas rehna ke Allah is ke Maalik hain is ko YAAFT kehte hain aur baahar dekhte huwe shaoor bedaar rehna ke Allah is ke Maalik-e-Haqeeqi hai is ko SHUHOOD kehte hain. Yeh Yaaft aur Shuhood hai pehle darje mein.

Un hi ko Maalik paa rahe hain, Un hi ko Maalik dekh rahe hain, Un hi ke Maalik hone ko duhraa rahe hain, Un hi ke Maalik hone ka istihzaar rakh rahe hain toh tawajjuh Haq Ta'ala Shaanahu ki taraf hogayi. Yaad-e-Illahi mein mashghool hogaye. Agar aisa mutawajjeh ho gaye toh phir aisi soorat mein koi cheez mili toh zyaadah Khushi mein beqaabu nahi ho jaata aur agar nahi mili yaan mili thi le liye toh zyaadah Gham nahi hota. Tab'ee asar alag cheez hai, Aqli taur par aadmi ko itmeenaan hota. Pur-sukoon zindagi guzarti. Koi pareshaani nahi rehti. Behereen zindagi haasil hoti. Allah Paak khud farmaate hain "Man 'amila Saalihaa min Zakarin aw Unsa wa huwa Mu'min fa la nuhyi-yannahu Hayaatan Tayyibah wa la najziyannahum ajrahum bi-ahsani ma kaanu ya'maloon" yaani "Jo koi Neyk 'amal karega Eemaan ke saath ham use paakeezah behtereen zindagi denge, un ke behtereen 'aamaal ka behtereen ajr ham unko denge - Duniya bhi achhi, Aakhirat bhi achhi" [Surah An-Nahl Aayah 97]. Ab neyl 'amal kya hai? Jaise oopar farmaaya gaya Nekl 'amal yeh hai ke jiski cheez hai uski marzi ke mutaabiq us ka ist'imaal karna aur jiski cheez hai uski marzi ke khilaaf us ke ist'tmaal karne ka naam bura 'amal hai.

Yel pehla sabaq hai. Toh is maqaam par haasil hone waali jo tauheed hai us ko Tauheed-e-Aasaari kehte hai aur is maqaam par haasil hone waala jo maqaam hai us ko Maqaam-e-Saaliheeyyat kehte hain aur is maqaam ko Maqaam-e-Aasaari kehte hain aur is jagah ki yaaft hai "Allah ko Maalik paana" aur is jagah ka shuhood hai "Allah ko Maalik dekhna". Aur Yaaft aur Shuhood hi goya Hayaat ki 'alaamat hai aur yeh nahi hai Ghaflat hai toh wohi Mamaat ke 'alaamat hai. Usee ko farmaaya ke terea wasl meri hayaat hai, tera fasl meri mamaat hai. Ajeeb baat hai ke 'Aadmi marne ko bhi tayaar nahi aur zindagi ka nuskha lene ko bhi tayaar nahi. Ab agar koi bhi gunaah huwa toh yeh samajh na chaahiye ke pehle darje ka sabaq samajh mein nahi aaya yaan hazam nahi huwa. Agar samajh mein aagay toh har cheez ka ist'imaal sahi ho jaayega. Jab maal ka ist'imaal sahih ho jaayega, cheezon ka ist'imaal sahih ho jaayega toh InshaAllahulAzeez yeh maal aur cheezon ke wajah se jo zyaadah pareshaaniyaan hai un pareshaaniyon se bhi chutkaara ho jaayega.

MUJAAHIDE KA DOOSRA DARJAH 
=====================

Ek hai Feyl ka Asar aur ek hai Feyl. Asar se muta'alliq aap ne suna. Ab Feyl se muta'alliq sun-na chaahiye. Jahan kahi bhi harkat hai us ke khaaliq Haq Ta'ala hai, Khaaliq-e-Feyl Haq Ta'ala hai. Allah jalle shaanahu ki yeh 'ataa hai ke woh 'ataa farma rahe hain is cheez ko toh jab Khaaliq-e-Feyl Haq Ta'ala hone ko yaad rakheinge toh aisi soorat mein un ke 'ataa kardah Feyl ka ist'imaal sahih kar sakeinge. Is ki nisbat bhi udhar hi karna, yeh bhi unka hi hai. Feyl ke Maalik-e-Haqeeqi bhi wahi hai. Feyl unhi ka 'ataa kardah hai. Yeh bhi unki takhleeq se taalluq rakhne waali cheez hai. Wallahu khalqakum wa ma ta'amaloon [Surah Saaffaat Aayah 96]. Jab unhone ne paidah kiya hai toh us ka ist'imaal kaise karenge? Us ka is'imaal bhi unki marzi ke mutaabiq ki karna. Us ke nateejeh mein apne jism se sarzad hone waali harkatein sahih ho jaayeingi. Harkat karne ki jo quwwat Allah Paak ne de rakhi hai, kisi bhi kaam ko anjaam dene ki salaaheeyat jo Allah Paak ne 'ataa farmaayi hai us Feyl ke khaaliq Haq Ta'ala hain, Khaaliq-e-Feyl Haq Ta'ala hai.

Silsile ke buzurgon ka mustaqil sabaq hai ke "Harkat ek, Nisbat do". Ke khaaliq-e-Feyl Haq Ta'ala hain aur Kaasib-e-Feyl bandah hai. Feyl ke paidah karne waale Allah aur Feyl ka ist'imaal karne waala bandah. Feyl ke paidah karne ki nisbat ko Takhleeq-e-Feyl kehte hain aur Fey' ke ist'imaal ke nisbat ko Ksab-e-Feyl kehte hain. Aisi soorat mein agar bandah Feyl ka ist'imaal ghalat karta hai toh saza ka mustahiq banta hai. Sahih karta hai toh in'aam ka mustahiq banta hai. Yahai hai "Laha ma kasabat wa 'alaiha maktasabat" [Surah Baqarah Aayah 286]. Achhe kaamon ke liye hi unhone Feyl 'ataa farmaaya kharaab kaamon ke liye nahi diya lekin agar kharaab kaam karna chaahein aur woh Feyl na dein toh Imtihaan nahi rehta. Is ke bina par unke diye huwe Feyl ka ist'imaal aap sahih jihat se bhi kar sakte hain aur ghalat jihat se bhi kar sakte hain. Sahih jihat se karne par imtihaan mein kaamiyaab samajhe jaayeinge, Ghalat jihat se karne par imtihaan mein naa kaam ho jaayeinge.

Toh is sabaq ke yaad rakhne ke nateejeh mein kya hoga? Jism se hone waali harkatein sahih ho jaayeingi. Dekhna bhi ek harkat rakhta hai, bolna bhi ek harkat rakhta hai, kahin jaana bhi ek harkat rakhta hai, kuch lena bhi ek harkat rakhta hai, kuch dena bhi ek harkat rakhta hai. Har cheez ka ist'imaal sahi ho jaayega. Jis ko yeh sha'oor nahi rahta ke Allah ke diye huwe Feyl ka ist'maal un ke marzi ke mutaabiq karna hai, aur us se koi gunaah sarzad ho jaata hai toh us ki nazar baahar hone waali galati par nazar rahti hai lekin andar se hone waali galati par us ki tawajjuh hi nahi rahti. 

Jab yeh jihat sahih ho jaati hai toh phir aisi soorat mein aadmi ko Tauheed-e-Feyli haasil ho jaati hai. Jis aadmi ko Tauheed-e-Feyli haasil, woh Allah ke diye huwe Feyl ka is'imaal sahih rukh se karta ho, un ke diye huwe Feyl ko ghalat ist'imaal nahi karta aur agar kabhi ho jaaye ghalati toh fauran Taaib hota hai, durust kar leta hai. Bil khusoos Eemaan waala ghalati par israar nahi karta. Farmaaya "Laa Kabreerata ma'al Istigfaar wa laa Sagheerata ma'al Israar" yaani badee ghalati badee nahi rahti jab istigfaar kar liya jaaye aur choti ghalati choti nahi rahti jab us par israar kiya jaaye. Allah ko Khaaliq-e-Feyl andaroon mein paana aur baahar mein Khaaliq-e-Feyl dekhna, yeh is maqaam ka Yaaft aur Shuhood hai. Us ke laazimi nateeje ke taur par aadmi ke harakaat durust ho jaate hain aur us ke nateeje mein jo maqaam us ko haasil hota hai us ko Maqaam-e-Shahaadat kehte hain makhsoos istilaahaat mein.


[Extracted from Shah Jamaal ur Rahman sahab's Majlis in Khanqah-e-Jamaalia August 27 2015]

No comments:

Post a Comment