Thursday, October 1, 2015

Aqwaal ul Jamaal - Pehle maqaam ka mujaahidah

Tauheed ki 4 qismein hain, Maqaamaat mein se 4 Maqaamaat hain. Me'yaaraat-e-Deen mein se 4 me'yaaraat hain. Isee aitebaar se Mujaahidaat bhi 4 qism ke hain aur us mujaahide ke nateeje mein haasil hone waali cheez "MAQAAM" kehlaati hai. Us mujaahide ke nateeje mein jo cheez haasil hogi usee aitebaar se aadmi ke YAAFT aur SHUHOOD ka muamla muta'iyan hota. Yaaft ke maana "Paana" aur Shuhood ka maana "Dekhna". Ek cheez jo aap apne andaroon mein mehsoos kareinge ke haan yeh cheez mujhse haasil hogayi usee ko Yaaft kehte hain. Aur usee cheez ko jab aap baahar dekh rahe hain toh usee ka naam Shehood hai. Aur yeh Yaaft aur Shuhood aadmi ki haqeeqi Hayaat , haqeeqi Maut se ta'abeer ki jaati hai. Hayaat mein "Hayaat" Yaad-e-Ilaahi se, Hayaat mein "Maut" Ghaflat se. 

Teri Yaaf aur Shuhood par meri Zindagi ka sabaat hai,
Tera wasl mein Hayaat hai, tera Fasl meri Mamaat hai.

Jab tak "Main", "Mera" chuta nahi samajh lee jiye ke Khud se guzre nahi. Agar kabhi kabaar yaad rehra ke "Main kuch nahi" aur "Mera kuch nahi" magar baar baar nahi rehra yeh toh yeh waqti Maut hai. Lekin Hadhrat yoon farma rahe hain ke is ki takraar hona chaahiye.

Haan khud se guzar jaane pe israar hai kamaal,
Is zindagi mein maut ka takraar hai kamaal.

Ek haqeeqat ka pehlu hai aur ek 'inaayat ka pehlu hai. Haqeeqat ke pehlu mein toh Mayyit "mayyit" hi hai (Maut "maut" hi hai). Aur ek yeh hai ke samajh mein nahi aati tasalsul ki (musalsal hone ki) wajah se. Maslan ek pankha (fan) sar ke oopar phir ra magar us ke phirne ki jo raftaar hai us ke nateeje mein atraaf se ek gol daaira sa aap mehsoos karte haalaan ke hai nahi wahan daaira. Tasalsul se ghumne se aisa samajh mein aata hai. Rassi ke kinaare par thodi se ruee baandh deejiye aur us ku zara mitti ke teyl mein dubaake us ku aag laga deejiye (shola bana deejiye) aur us rassi ka doosra kinaara pakad ke usey gol teezi se phiraaiye toh aap ku shola poora gol daaire mein dikhta magar asal mein waisa rehta nahi. Tezi se phiraane se aisa dikhra ke aag ka gol daaira hai haalaanke hai nai waisa. Tasalsul ki wajah se waisa dikhra. Woh dikhne ki jo kaifiyat hai woh "Hayaat" ki hai magar us se pehle ki us ki jo haalat woh kis ki hai? Maut ki haalat hai. Jaise bulb jalta hua nazar aara lekin us mein current peeche se musalsal aara toh dikhra aap ku ke bulb mustaqil jalra magar aisa nahi hai. Har cheez ka nizaam aisa banaaye Allah Ta'ala ke yeh samajh mein aata hai ke 'Adam-Wujood ka ek silsila hai jo chalta rehta hai aur donon ek doosre se alag alag rehne ke baawajood ittisaal aisa hai be-takayyuf, be-qiyaas laga hua hai ek doosre ke saath mein. Dil dhadakta hai toh dhak-dhak ki aawaaz se samajh mein aata hai ke hai-hai lekin beech mein nahi-nahi bhi hai us mein. Marajal Bahraini Yaltaqiyaan. Bainahuma Barzakhul Laa Yabghiyaan [Surah Al-Rahman Aayah 19-20]. Ek saath beh rahe hain do dhaarein - ek naqaais ka, ek kamaalaat ka. Laga hua hai ek doosre ke saath mein aisa ke kamaal "Kamaal" hi hai aur naqs "Naqs" hi hai. 'Abd "'Abd" hi hai aur Rabb "Rabb" hi hai. Tasalsul hai jo jaari hai. Saans ka nizaam bhi aisa hi hai - baahr jaati, andar aati. Baahr gayi andar nahi aayi toh us ka naam kya hai? Maut hai. Ek silsila hai jo jaari hai. Har cheez ka Allah Ta'ala ne kuch aisa hi nizaam bana rakha hai taake aaadmi bhoole nahi. Summa yumeetukum, summa yuhteekum [Surah Baqarah Aayah 28]. Allah maut bhi deta rehta hai zindagi bhi deta reta hai. Musalsal ek silsila hai jo chalta rehta hai. Maut-Hayat ka silsila. Us ko farma rahe hain Hadhrat ke is zindagi mein maut ka takraar hai kamaal. Takraar hote rehna. Yaad rehna yeh baat.

Ek hai haqeeqat aur ek hai apne andaroon mein us ka paaya jaana, us ka sha'oor rehna, woh baat yaad rehna, us ka faham rehna - yeh hai takraar. Usee ko buzurgon ne yun bhi farmaaya ke "Mootu qabla anta mootu" yaani Maut aane se pehle marjao. Is ka matlab khudkushi karna nai hai. Phir is ka kya matlab hai? farmaaya ke matlab yeh hai "Kun kal mayyit fee yadil ghassal" yaani hoja mayyit jaisa nehlaane waale ke haath mein. Ek ikhtiyaari maut hai aur ek ijbaari yaani ek qadri maut hai, ek jabri. Jab aadmi ke oopar maut aagayi toh ab uski koi marzi baaqi nahi hai. Doosre ki marzi chalti, us ki apni nahi chalti. Farmaaya ke jabri maut ke baad jaisa marne waale ki koi marzi nahi rahti waise tum apni is zindagi mein ikhtiyaari maut taari karlo yaani tumhaari apni marzi bilkul chod do. Yeh hai "Mootu qabla anta mootu" ka matlab. Jis haal mein rakhein woh theek hai chaahe kushaadgi mein rakhein yaan tangi mein rakhein. I ke liye dua bhi roz subah karna chahiye ke "Maula aaj ka din mukammil aap ki marzi ke mutaabiq guzzar de". 

Yaaft aur Shuhood ka ek mustaqil 'amal hai jo Saalik ko jaari rakhna chahiye. Aayaton se hai kaayenaat hai bhari, chalte phirte padha karo Qur'aan. Agar is ka mujaahidah jaari raha toh 'aadmi Ghaflat se nikal jaata. Phir aadmi ko "Wasl" haasil hota hai aur hayaat mein phir "Hayaat" aati hai (Hayaat-e-Jismaani mein Hayaat-e-Roohaani aati hai). Aur mujaahidah 4 qism ka apne ku karne ka hai. Pehla mujaahidah AASAAR mein. Apne oopar nazar pad gayi toh jo bhi apni Zaat se mutaalliq cheezein hain tamaam hi cheezon ke baare mein apne andaroon mein yeh baat paayi jaani chaahiye ke is ke Maalik, Maalik-e-Haqeeqi Allah Ta'ala hain. Agar yeh kaifiyat apne andaroon mein paayi jaa rahi hai toh ise kehte hain YAAFT (is maqaam ka). Apne se hat kar jitni cheezon par nazar pad rahi hai toh har har cheez ke baar mein hamaara dekhna kuch aisa ho Allah is ke Maalik hain, Maalik-e-Haqeeqi hain yeh yaad rakhna. Yeh SHUHOOD hai is maqaam ka. 

Dekhna, Paana Khuda ko Anfus-wo-Aafaaq mein,
Meri 'aadat hai yahi, meri 'ebaadat hai yahi.

Is yaad se bahut saari beemaariyon se bhi hifaazat ho jaati. Warna kya samajhta aadmi ke mere paas nahi hai us ke paas hai aur is ke nateeje mein beemaariyaan paidah ho jaati. Beemaari se muraad Akhlaaqi beemaariyaan. Jaise main haath-khaali hun waise woh bhi asalan haath-khaali hi hai. Dikhne se toh kuch nahi hota. Cashier ke haath mein paise hamesh dekhte rahte magar koi bhi Hasad nahi karta us se. Kyun nahi karta? Is liye ke ma'aloom hai ke us ke nahi hai. ab kaayenaat ki sab cheezein kis ki? Allah ki hain. Ab hame haasidaana jazbaat logon ke baare mein kyun aa rein boleto wajah yeh hai ke us ke paas hai mere paas nahi hai. Aadmi haath-khaali aata aur haath-khaali jaata - aam aadmi ho ke khaas aadmi, ri'aayah ho ke hukumraah, public ho ke baadshaah sab ke sab khaali hi jaate. Jab yeh istihzaar rahta toh haasidaana jazabaat nahi aate aur aise bahut saare beemaariyon se chutkaara mil jaata. Toh apni cheez ki taraf tawajjuh jaaye yaan baahar ki cheezon ki taraf tawajjuh jaaye toh is ke MAalik-e-Haqeeqi Haq Ta'ala hai is ka istihzaar rakhna. Yahi hai yaaft-wo-shuhood is maqaam ka. Yahi hai mujaahidah is maqaam ka. Pehle maqaam ka mujaahidah yeh hai. Lekin mujaahide mujaahide mein faraq rehta. Hamein yeh dekhna chaahiye ke mujaahide ka nateeja sahih nikal raha hai yaan nahi. Nateejah sahih nikla toh samajh lena chaahiye ke Mujaahidah-wo-Mehnat sahih hai. Sahih rukh par mehnat ho rahi hai ke nahi ho rahi hai yeh dekhne ke liye nateejah sahi aaraha hai ke nahi aaraha hai woh dekhna. 

Ab yeh mujaahidah pehle darke ka, 'Aalam-e-Naasoot ka, Maqaam-e-Saaliheeyyat ka jo mujaahidah hai woh sahih rukh pe hora yaan nahi ho raha woh dekhne ke waaste naeejah dekho kya hai us ka. Yahi maqaam sab se mushkil maqaam hai samajh leejiye aap hamaare apne haalaat ke hisaab se. Agar aap ki zabaan se jhoot nikla toh samajh lena chaahiye ke mujaahidah sahih rukh par nahi chal raha, is waaste ke is zabaan ke Maalik-e-Haqeeqi Haq Ta'ala hain is ka istihzaar nahi hai. Is ke nateeje mein aap apni marzi se khilaaf-e-haqeeqat baar zabaan se nikaal rahe hain. Us ki cheez ka istihzaar hota toh unki marzi se ist'imaal karte. Unhone bataaya ke maine zabaan toh dee hai magar is se jhoot nahi bolna hai aur khaas taur se Eemaan waale ke haq mein toh is ki badi taakeed hai ke baaz doosre qism ki akhlaaqi kuch kamiyaan ho sakti hain lekin jhoot nahi bolta. Toh 'amal sahih ho raha, mujaahidah sahih jaari hai yaan nahi dekhne ke waaste yeh dekhlo ke mujhe jo jo cheezein haasil hain aur mere paas hain un tamaam cheezon ka ist'imaal Main cheezon ke Maalik-e-Haqeeqi ki marzi se kar raha hoon yaan nahi. Sab se mushkil kaam hai yeh. Toh itna mujaahidah karna ke har har cheez ka, meri zaat se taalluq rakhne waali jitni cheezein hain un sab ka ist'imaal sahih hona - Hayaat ka, 'Ilm ka, Iraade ka, Qudrat ka, Sama'at ka, Basaarat ka, Kalaam ka, Haath-Paaun ka, Dil-Dimaagh ka, gharz har har cheez ka ist'imaal sahih hona. 

Apni Zaat se taalluq rakhne waali har-har cheez ke baare mein yeh silsila jaari rakhna ke iske Maalik-e-Haqeeqi Haq Ta'ala hain, yeh Allah Ta'ala ki Mamlook hai. Is ka baar-baar takraar aur sonch aur fikr, istihzaar jaari rakhna. Is jaari rakhne mein do kaifiyatein hoti hain - kabhi yaad rehta aur kabhi yaad nahi rehta. Toh koshish aisi karna ke Yaad jo hai woh Ghaflat par ghaalib aaye. Aur is koshish ka jo maqsad hai woh yeh ke mutaalliqah ashiya ka ist'imaal sahih ho jaaye aur is ka ehtemaam karna chaahiye. Jab yeh haasil ho jaaye toh phir us ke nateejeh mein Anfusi jihat se 'Aadmi ko Maqaam-e-Saaliheeyyat haasil hota hai. Yeh isliye ke us ke nateeje mein 'Aadmi ka 'Amal jo hai woh 'Amal-e-Saalih ban jaata hai. Aur jiska 'Amal Saalih ban gaya, zaahir hai ke Saaliheen mein shaamil ho gaya jo Maqaam-e-Aasaari mein hai. Maalikeeyat-e-Ilaahiya ka mujaahidah anfus-wo-aafaaq mein is qadr jaari rehna ke uske nateeje mein apni Zaat se taalluq rakhne waali cheezein aur baahar se jo-jo cheezein taalluq rakhti hain tamaam cheezon mein uske Maalik-e-Haqeeqi Haq Ta'ala hi hain is ka istihzaar rakhna aur itna zyaadah ke apni cheez ke taraf tawajjuh jaaye toh unka Maalik hona yaad aajaaye, saamne ki cheez par tawajjuh jaaye toh unka Maalik hona yaad aajaaye toh yahi Yaaft-aur-Shuhood hai samajh leejiye is Maqaam ka. Us ke nateeje mein har-har shay ka ist'imaal chaahe apni yaan doosron (jiski nisbat doosron ki taraf hai) ki sahih ho jaayega, ghalat nahi karega. Us ke nateeje mein 'Aadmi ka 'Amal sahih ho jaata hai toh us ke nateeje mein 'Aadmi ko Maqaam-e-Saaliheeyyat haasil hota hai. Yeh Maqaam hai.

Phir us ke nateeje mein ek aur cheez 'Aadmi ko haasil hoti hai - koi cheez gayi toh ghair-maamooli taur par ghamzadah nahi hoga aur koi cheez aayi toh had se zyadah khushi mein mubtela nahi hoga. Isliye ke koi cheez gayi toh kis ki gayi, meri toh nahi thi. Jis ki thi us ke paas gayi toh gham kis baat ka gham? Aur us ko samjhaane ke liye kehte hain ke koi sahab aap ke paas aaye aur koi amaanat (masalan rupaye) aap ke paas rakhaaye aur kuch der baad aap se woh waapas le liye toh is mein kuch takleef hogi dene waale ku, kuch ranj hoga? Balke khushi hoti ke ek zimmedaari, ek amaanat jo aap ke paas rakhi huwi thi woh aap par se utar gayi. Bajaaye ranjeedah hone ke aap toh ke kahenge ke aap toh kahenge ke chalo subukdosh hogaya hun. Mere kandhe jo bojhal hogaye the woh halke-phulke hogaye. Maqaam-e-Aasaari mein, Maqaam-e-Saaliheeyyat mein, Tauheed-e-Aasaari mein mujaahidah Allah Jalle Shaanahu ko Maalik paane ka, Allah Jalle Shaanahu ko Maalik dekhne ka is jihat se hona ke mujhse taalluq rakhne waali aur mujhe nazar aane waali cheezon mein se (jo meri Zaat se khaarij hai) kisi bhi shay ka ist'imaal ghalat nahi hona. Us ke nateeje mein Maqaam-e-Saaliheeyyat 'Aadmi ko naseeb hota hai. Aur mehsoos kar raha hai isee cheez ko ke Maalik-e-Haqeeqi Haq Ta'ala hain yeh is Maqaam ki Yaaft hai aur dekhna ke Haq Ta'ala Shaanahu hi in cheezon ke Maalik-e-Haqeeqi hain yeh is Maqaam ka Shuhood hai. Aur us ke nateeje mein jo cheez 'Aadmi ko haasil hoti hai woh yeh ke koi cheez mili toh bahut/had se zyaadah khushi mein magan nahi hota aur agar koi cheez gayi toh bahut zyaadah ranjeedah ho kar pareshaaniyon mein giraftaar nahi hota. Jab yeh cheez haasil ho jaati tob Zindagi guzaar na bhi aasaani hojaata aur be-'itidaali khatam jaati.

Apne liye toh koi pareshaani ka masla hi nahi hai. Ham toh bilkul jaise chote bachhe rehte na Maan-Baap ke Haq mein waise ban jaana Parwardigaar-e-'Aalam ke haq mein. Bachhe ku apne baare mein jitni fikr rehti us se badh ke Maan-Baap ku fikr rehti nai rehti? Ab woh bachhe mein samajh kam rehne ki wajah se kabhi gadbadi zyaadah karta magar ham bade hone ke nateeje mein woh gadbadi nai karna. Itni samajh bachhe mein nai rehti ke mujhe koi cheez de rahe hain toh mere liye achhi hai. Mujhe koi cheez nahi de rahe hain toh mere liye theek nahi hai - itna sha'oor us ku haasil nahi hai. Magar hame toh itna sha'oor haasil hai ke mere Maula mujhe kuch de rahe hain toh mere liye khair hai aur koi cheez nahi de rahe hain toh bhi mere liye khair hi hai. Itna sha'oor toh ham ko haasil hai na? Phir aisi soorat mein pareshaani kis baat ki? Un ke hawaale rehna bas - Tafwwez, Tasleem ka mizaaj rehna. Insha-Allah-ul-Azeez 'Amal poora shahih hoga. 

Doosri cheez, doosri Tauheed ki jo hai woh Af'aal ki hai. Allah Paak Jalle Shaanahu Faail-e-Haqeeqi hain. Takhleeq-e-Feyl Haq ta'ala ki taraf se hota hai, Feyl ka ist'imaal bande ki taraf se hota hai. Feyl ki takhleeq ki nisbat Haq Ta'ala ki taraf karna. Feyl ke ist'imaal ki nisbat bande ki taraf karna. Us ko istilaah mein Khalq-e-Feyl aur Kasab-e-Feyl kehte hain. Nataaij ka murattab hona kasab ke oopar hai. Paidah kee jaane waali cheez ka paidah karna bura nahi hai. Paidah kee huwi cheez ka ist'imaal ki kihat se achha yaan bura banta hai. Jaise chaakhu-churi ka banaana, is ka banaana bura nahi hai. Is  chaakhu ka ist'imaal agar sahih rukh par kiya jaa raha hai toh woh acha hai. Aur agar ist'imaal ghalat rukh par kiya jaa raha hai toh woh bura hai. Paidah karne waale feyl ke Haq Ta'ala hain aur paidah karna kisi cheez ka bura nahi hai. Jitni kharaab cheezein hai jinka ist'imaal karna mana hai Sharee'at mein us cheezon ke zareeye se Jannat mein jaane ka raastah hamwaar hora is aitebaar se ke us ka ist'imaal sahi kiya jaaye aur ghalat ist'maal se bacha jaaye. Koi cheez bekaar nahi hai. Allah ki riza-wo-khushnoodi haasil karne ka zareeya hai woh cheez. Woh cheez nahi hoti toh imtihaan kis baat ka hota? Aur bachne ka jo ajr hai woh kaise milta? Gunaah se bachne ka jo ajr hai, jo mehboobiyat hai woh kaise haasil hoti agar mauqa-e-gunaah na hota, sabab-e-gunaah na hota? Is liye koi cheez hamaare haq mein muzir nahi hai.

Toh is silsile mein jo doosra pehlu hai woh yeh hai ke Feyl ki nisbat ka Haq Ta'ala ki taraf karna takhleeqan aur is silsile ka mujaahidah yeh hai ke hamesha jahan kahin bhi koi feyl, koi harkat nazar aaye Haq Ta'ala Jalle Shaanahu ko is haiseeyat se yaad rakhna ke is Feyl ke Khaaliq Haq Ta'ala Jalle Shaanahu hain. Jab Khaaliq woh hain toh jo Khaaliq hota hai Maalik wohi hota hai. Ab aisi soorat mein us feyl ke ist'imaal ki jihat muta'iyyan karne ka haq unko hai mujhe nahi hai. Us feyl ka ist'imaal kis mein karna aur kis mein nahi karna, is ka ta'iyyun unke ikhtiyaar mein hai. Is ka mujaahidah haasil hoke har-har mauqe par Feyl ki nisbat Haq Ta'ala ki taraf karne ka mizaaj hona. Yeh jo masnoon duayein hain yeh sab tauheed-e-Feyli ki duayein hain. Is ka jab musalsal mujaahidah chalta hai toh phir apne andaroon mein paayi jaane waali Feyl ka ist'imaal bhi durust hota hai aur baahar nazar aane waale Af'aal mein Haq Ta'ala Jalle Shaanahu ki Hikmat par nazar jaati hai toh phir 'Aadmi ko Maqaam-e-Shahaadat haasil hota hai, Tauheed-e-Af'aali haasil hoti hai.


[Extracted from Shah Jamaal ur Rahman sahab's Majlis in Khanqah-e-Jamaalia August 20 2015]

No comments:

Post a Comment